donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmed Faraz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Hum K minnat kash E saiyyaad nahiN hone ke *
Hum K minnat kash E saiyyaad nahiN hone ke
Woh jo chaahe bhi to aazaad nahiN hone ke
Dekh aa kar kabhi un ko bhi jo tere haathoN
Aise ujRe haiN  K aabaad  nahiN hone ke
Wasf E mai aur sifat E yaar ke mazmuN ke siwa
Naasehaa!! tere suKhan yaad nahiN hone ke
Yaar bad-ahd ka kitna baRa ehsaaN hai K hum
Ab kisi ke liye barbaad nahiN hone ke
Us jafa kash ko du’aa do K agar wo na raha
Phir kisi se sitam eejaad nahiN hone ke
Aaj phir jashn manaayaa gayaa aazaadi ka
Kal gharoN per kayii afraad nahiN hone ke
Etne aaram talab ho to muhabbat meN ‘Faraz’
‘Meer’ bun jaaoge ‘Farhaad’ nahiN hone ke
***
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 448