donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmed Faraz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Thaka Gaya Hai Musalsal Safar Udaasi Ka *
Thaka Gaya Hai Musalsal Safar Udaasi Ka
Aur Ab Bhi Hai Mere Shaane Pe Sar Udaasi Ka

Wo Koun Keemiyaa gar Tha K Jo Bikher Gaya
Tere Gulaab Se Chehray Pe Zar Udaasi Ka

Mere Wajood Ke Khalvat kade MeN Koi To Tha
Jo Rakh Gaya Hai Diya TaaQ Par Udaasi Ka

MaiN Tujh Se Kaise KahuN Yaar MehrbaaN Mere
K  Tu ilaaj NahiN,  Merii Har Udaasi Ka

Ye Ab Jo Aag Ka Darya Mere Wajood MeN Hai
Yehi To Pahlay Pahal Tha Sharar Udaasi Ka

Na Jane Aaj Kahan Kho Gaya Sitaar E Shaam
Woh Meraa Dost, Mera Humsafar Udaasi Ka

‘Faraz’ Deeda E Pur Aab MeN Na DhooNdh Usay
Ke  Dil Ki Teh MeN KahiN Hai Guhar Udaasi Ka !
***
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 480