donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmed Jaleel
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Baarhaa aise bhii apne dil ko bahlaanaa paRaa, *
Baarhaa aise bhii apne dil ko bahlaanaa paRaa,
shaam-e-tanhaa’ii meN yaadoN se lipaT jaanaa paRaa,
( shaam-e-tanhaa’ii : a lonely evening)
har daf’aa pahlii shanaa-saa’iiyaaN na yaad aayiiN use,
har daf’aa apnaa ta’arruf phir se karvaanaa paRaa,
(shanaa-saa’iiyaaN : acquaintances; ta’arruf : introduction)
rezaa-rezaa ho gaye haiN aaj mere Khvaab phir,
aaj ek patthar se phir shiishe ko takraanaa paRaa,
(rezaa-rezaa : tatters)
naa-rasaa’iiyoN kii thakan ne kar diyaa halkaan phir,
dasht se nikle to vaapis dasht meN aanaa paRaa,
(naa-rasaa’ii : out of reach; halkaan : counfused; dasht : ruins)
phir bhii ham ne aql ko rahbar nahiiN maanaa “Jaleel”,
dil ke go har faasile par ham pachtaanaa paRaa.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 343