donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmed Mushtaq
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kahaa.N kii guu.Nj dil-e-naatavaa.N me.n rahtii hai, *
Kahaa.N kii guu.Nj dil-e-naatavaa.N me.n rahtii hai,
ki thartharii sii ajab jism-o-jaa.N me.n rahtii hai,

[dil-e-naatavaa.N = weak heart;]

mazaa to ye hai ki vo Khud to hai naye ghar me.n,
aur us kii yaad puraane makaa.N me.n rahtii hai,

agarche us se mere betakallufii hai bahut,
jhijhak sii ek magar daramiyaa.N me.n rahtii hai,

[betakallufii = informality; jhijhak = hesitation; daramiyaa.N = between]

pataa to fasl-e-gul-o-laalaa kaa nahii.n maaluum,
sunaa hai qurb-o-vaar-e-Khizaa.N me.n rahtii hai,

[fasl-e-gul-o-laalaa = season of flowers; Khizaa.N = fall/autumn]

mai.n kitanaa vaham karuu.N lekin ik shuaa-e-yaqii.n,
kahii.n navaah-e-dil-e-bad-gumaa.N me.n rahatii hai,

[vaham = doubt; shuaa-e-yaqii.N = ray of belief]
[navaah = surrounding; dil-e-bad-gumaa.N = suspicious heart]

hazaar jaan khapaataa rahuu.N magar phir bhii,
kamii sii kuchh mere tarz-e-bayaa.N me.n rahatii hai.

[tarz-e-bayaa.N = style of speaking]
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 326