donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmed Mushtaq
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* ZamiiN se ugti hai yaa aasmaaN se aatii hai *
ZamiiN se ugti hai yaa aasmaaN se aatii hai
ye be-iraada udaasi kahaaN se aatii hai

badan kii baas, nasiim-e-libaas, buu-e-nafas
koii mahak ho isii Khaak-daaN se aatii hai

diloN kii barf pighalti nahii hai jiske baGair
voh aaNch, ek Gham-e-be-nishaaN se aatii hai

use naye dar-o-diivaar bhii na rok sake
voh ek sadaa jo puraane makaaN se aatii hai

suKhanwarii hai nazar se nazar kaa naaz-o-nayaaz
urooz se na zubaan-o-bayaaN se aatii hai
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 333