donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ain Tabish
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Heyat sokhta saama’n ik ista’ara sham *
Heyat sokhta saama’n ik ista’ara sham,
Chamak chamak ke bujha hai koi sitara sham,
Bujha rahe hai’n chiragh shaguftagi bahaar,
Samajh chuke hai’n bahut ham bhi yeh isharae sham,
Kisi ko fayeda sham khush wesaal mila,
Kisi ke hisse me’n likha gaya khesara sham,
Isi qadr hai heyat o ajal ke beech ka farq,
Yeh aik dhoop ka dariya voh ik kinarae sham,
Jinoo’n ki bazm saji hai isi ke saye mei’n,
Ke ham to girne nahi denge yeh minarae sham.


 
Comments


Login

You are Visitor Number : 387