donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aisha Baig
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Takhayyul kay falak par muskuraae ..ik sitaara bus *
~~~~~~~~~~~Ghazal ~~~~~~~~~~~~~~~
 
Takhayyul kay falak par muskuraae ..ik sitaara bus
Ghazal ki sarzameeN ko hay faqat itna sahaara bus
 
Khabar mujh ko nahiN kaise kharaash aai nahiN koi
Bus itna yaad hay girte huway us ko pukaara bus
 
Jo dil maiN bus rha hay aur jis kay bus maiN haiN har pal
Usi kay saamne kuch bhi nahiN chalta hamaara bus
 
ZamaanoN se musalsal hi thakan kay paanioN maiN hooN
Nazar ki aazoo hay ab samuNdar ka kinaara bus
 
WohiN par waqt kay pairoN ki nabzaiN ho gyiN saakit
Keh jooNhi dast-e-wijdaaN ne kiya mujh ko ishaara bus
 
Bajuz maire, kisi ka naam tairay saath aa jaaye
Kisi qeemat, Kisi soorat , NahiN mujh ko gawaara bus
 
Teri khushbu ne mehkaaya usi pal naqsh-e-Aashi ko
Keh jis pal kooza gar ne chaak se is ko utaara bus
~~~~~~~
Aisha Baig
~~~~~~~
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 376