donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aisha Baig
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Wohi baaNte rahmataiN chaar soo, haiN usi ki naemataiN chaar soo *
Wohi baaNte rahmataiN chaar soo, haiN usi ki naemataiN chaar soo
Wohi tau hay jalla jalaalo hu, Wohi tau hay jalla jalaalo hu
 
Meri laGhzishoN ka shumaar kya, maiN Khata sarisht Khata sraa
Kabhi shukr kar na saki adaa, Wo nawaazta hi rha sadaa
HaiN usi ki baKhshishaiN koo ba kaoo , Wohi tau hay jalla jalaalo hu
 
Wohi patharoN ko hayaat de, wohi paanioN ko de ziNdagi
Wohi soorajoN ko de roshni, wohi khushbuoN ko de taazgi
wohi ronaqaiN kare soo ba soo, Wohi tau hay jalla jalaalo hu
 
Mujhe us ne husn-e-byaaN diya, Mujhe aagahi ka jahaaN diya
Mujhe azm-o-shauq-e-jawaaN diya, mujhe manziloN ka nishaaN diya
Wohi sh'aoor ko justaju, Wohi tau hay jalla jalaalo hu
 
Mujhe taab-e-mad'H ataa huwi, Meri bigRi baat saNwar gyi
Na rhi khyaal maiN teergi, hui us ki hamd se roshni
Ye sanaa thi Aashi ki aarzu, Wohi tau hay jalla jalaalo hu
~~~~~~~
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 365