donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aisha Baig
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kabhi yak ja kabhi maiN jaa ba jaa hooN *
G H A Z A L ( Matla-e-saani)
~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kabhi yak ja kabhi maiN jaa ba jaa hooN
KahaaN maelooM hai mujh ko maiN kya hooN
 
Daroon-e-dil kayi dariaa haiN mujh maiN
Bazaahir tau faqat maiN bulbulaa hooN
 
Hamaisha tishnagi maiN jaan di hai
MaiN apni zaat hi maiN karblaa hooN
 
Mere rahro kahiN peechay khaRe haiN
Jo aage baRh gya wo qaafilaa hooN
 
Jisy tay kar na paaye ziNdagi bhi
Zamin-o-aasmaaN ka faasilaa hooN
 
Radeef-e-mustaqil hooN maiN Ghazal ki
MaiN kiyuN badlooN gi kya maiN qaafiaa hooN
 
Malaa'ik sy na phir tashbeeh daina
MaiN masjood-e-malaa'ik hooN waraa hooN
 
Kiya hai munkashif yazdaaN ne Aashi
MaiN sab maiN hooN magar sab se judaa hooN
~~~~~~~
Aisha Baig
~~~~~~~
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 366