donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ajay Pandey Sahaab
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* sahra e la hudood me tashnalabi ki khair *
ghazal
 
sahra e la hudood me tashnalabi ki khair
 
mahaul e ashkbaar me lab ki hansee ki khair
 
laffzaziyon ke shaah hain ,Ghalib bane hue
sadiq sukhanwaron ki ,sukhanparwari ki khair
 
hai aurato.n ki dhoom zamee.n se falak talak
 
sai e baqa e shaukat e mardaangi ki khair
 
sara watan samjh chuka ,dairo haram ka sach
badkaar rahbaran ki ,baazigari ki khair
 
mashriq me hindo cheen ke bazaar yun badhe
 
jaaho jalaal e maghribo Bartaanvi ki khair
 
har simt qatle aam hai ,mazhab ki aad me
saari aqeedaton ki ,aman parwari ki khair
 
arzaa.n hai mushte khaak se insaan ki hayaat
 
tahzeeb e qatlo khoon me har zindagi ki khair
 
 
jumhooriyat ki laash pe iblees khandazan
 
us barhana nizaam ke ,har aadmi ki khair
 
nafrat ki shah raah pe ,chalne laga jahan
ulfat ,khulooso pyaar ki ,nanhi gali ki khair
 
toofa.n tha itna tez ki ashjaar gir gaye
 
aise me apni shaakh se ,bichhudi kali ki khair
 
urdu ghazal ke naam pe ,chalte hain chutkule
 
Ghalbi ke 'faiz ' , meer' ki us 'sahiri' ki khair
 
maghrib se aa gayi yahan ,tahzeeb e barhana
 
mashriq teri rivaayati ,pakeezgi ki khair
 
andhe parakh rahe jahan ,meayaar e roshni
 
deedavare hunar teri ,deedavari ki khair
 
 
SAHAAB ...
 
WRITTEN AS A TRIBUTE TO MY MOST FAV POET ,,THE GREAT GREAT SAHIR ..
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 393