donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ajay Pandey Sahaab
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* ab na wo geet na wo dost puraane waale *
ab na wo geet na wo dost puraane waale
ab khamoshi ke ye mausam nahi jaane waale

chhodkar mujhko gaye goongi si tanhaai me
mere ahsaas me wo shor machaane waale 

umr bhar raahon me palakon ko bichhaya humne
mud ke ik baar to dekhen kabhi jaane waale 

banke insaaf ke paikar jo tane baithe hain
wo to sab the kabhi qaatil ko bachaane waale 

wasl ki aik bhi rekha to banaai hoti 
mere hathon ke muqaddar ko banane waale

sari mahfil ko pata hai yahan haalat teri 
kya milega tujhe ashkon ko chhupaane waale

ghar bhi koi yahan baaqi na jalaane ko bacha
kitne maayoos hain basti ko jalaane waale 

tere chehre se hai zaahir tere jaane ka sabab
kuchh bhi kahne ki zaroorat nahi jaane waale 

jo bhi bichhude hain wo kab laut ke aaye hain "sahaab"
jaane kyun zid pe ade hain ye bulaane waale
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 414