donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Akhtar Usman
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* sadaa-e-soor-e-israfeel ka gham kha gya hay *
sadaa-e-soor-e-israfeel ka gham kha gya hay,
hameN apni adam takmeel ka gham kha gya hay.

gham-e-ablaagh me ham log aadhy reh gay haiN,
mukamal soch ki tarseel ka gham kha gaya hay.

ba-sat'h-e-charkh-e-kuzagar taRapta hay jo paikar,
isy mehroomi-e-tashkeel ka gham kha gaya hay.

hamary dukh pe wo roya, to youN samjho k goya,
koi Qabeel tha, Habeel ka gham kha gaya hay.

junooN kab tak Dhaly ga boond boond Akhtar ghazal meiN,
isi peraya-e-tanzeel ka gham kha gay hay.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 1694