donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Akhtar Usman
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* kya kya zuroortoN k fuzooN kha gaei hawa *
kya kya zuroortoN k fuzooN kha gaei hawa,
kam paR gaei khirad to junooN kha gaei hawa...

ab inhidaam-e-qasr-e-takhayyul ka waqt hay,
gin gin k aik aik sutooN kha gaei hawa...

ham to sada sy khaak thy, khoraak-e-khak thy,
daur-e-hawa-sarisht to kyuN kha gaei hawa...

kaya daastan-e-ehd-e-guzishta raqam kareN,
wo khawb, wo nasha, wo fusooN kha gaei hawa...

sar-sar sifat khyal haiN, lab sokhta sawal,
her aadmi ka soz-e-durooN kha gaei hawa...

aisa laga k is ne to khaya hi kuch nahin,
Akhtar hmaiN to mauj meiN youN kha gaei hawa...
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 358