* Merii vaadii me vo ik din yuu'n hii aa niklii thii *
Merii vaadii me vo ik din yuu'n hii aa niklii thii
Rang aur nuur kaa bahtaa huaa dhaaraa ban kar
Mahfil-e-shauq me ik dhuum machaa dii us ne
Khalvat-e-dil me rahii anjuman-e-aaraa ban kar
Sholaa-e-ishq sar-e-arsh ko jab chhune lagaa
Urh gaii vo mere siine se sharaaraa ban kar
Aur ab mere tasavvur kaa ufaq roshan hai
Vo chamakatii hai jahaa'n Gham kaa sitaaraa ban kar
|