donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Akram Kamal
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Bus ho chukka nibaah bahot zindagi ke saath *
Bus ho chukka nibaah bahot zindagi ke saath
Banti nahi zara bhi miri is muyii ke saath
بس ہو چکا نباہ بہت زندگی کے ساتھ   
بنتی نہیں ذرا بھی مری اس موئی کے ساتھ
Hangaama ho raha hai ghalat mere naam par
Mai’n uuzr de rahaa hun badi aajizi ke saath
ہنگامہ ہو رہا ہے غلط میرے نام پر   
میں عذر دے رہا ہوں بڑی عاجزی کے ساتھ
 
Kitna ajeeb shehr ka mahool ho gayaa…?
Dushman bhii mil rah hai gale dosti ke saath
کتنا عجیب شہر کا ماحول ہو گیا    
دشمن بھی مل رہا ہے گلےدوستی کے ساتھ
 
Aaqil ko aql daana ko daanayi so.np kar
Paymaan hum ne bandha hai aashuftagi ke saath
عاقل کو عقل دانا کو دانائی سونپ کر
پیمان ہم نے باندھا ہے آشفتگی کے ساتھ
 
Uske gale mai’n rehti hai devi Saraswati
Rooh phoonkta hai sher mai’n vo naghmagi ke saath
اس کے گلےمیں ر ہتی ہے دیوی سرسوتی
روح پھونکتا ہے شعر ميں وہ نغمگی کے ساتھ
    
Shaayed miri zabaan se phir ‘sach’ nikal gaya
Fitrat nahi badalti hai farzaangi ke saath
شاید مری زبان سے پھر سچ نکل گیا  
فطرت نہیں بدلتی ہے فرزانگی کے ساتھ
 
Behrupiyyat ka jab se mukhota utar gaya
Aaiina dekhta hai mujhe berukhi ke saath
بہروپیت کا جب سے مکھوٹا اتر گیا   
آئینہ دیکھتا ہے مجھے بے رخی کے ساتھ 
 
Samjhe baghyer bol diyaa aur pha.ns gaye
Hota hai aiysa haadsa bhii aadmi ke saath
سمجھے بغیر بول دیا اور پھنس گیے  
ہوتا ہے ایسا حادثہ بھی آدمی کے ساتھ  
Naqd-o-nazar ki hum ko wiraasat nahi milii
Haan iktesab-e-fayez kiya hai kisi ke saath
نقد و نظر کی ہم کو وراثت نہیں ملی  
ہاں اکتساب فیض کیا ہے کسی کے ساتھ
 
Naadaaniyu’n ke baad hi to aql aayi hai
Ab raasta mila hai mujhe roshni ke saath
نادانیوں کے بعد ہی تو عقل آئی ہے  
اب راستہ ملا ہے مجھے روشنی کے ساتھ 
 
Shikwe gile to hote hi rehte hai’n piyaar mei’n
AKRAM KAMAL khush hai bahot zindagi ke saath
شکوے گلے تو ہوتے ہی رہتے ہیں پیار میں
اکرم کمال  خوش ہے بہت زندگی کے ساتھ 
*******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 369