donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Alam Tab Tashna
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Hisaar-e-maqtal-e-jaa.N me.n lahuu lahuu mai.n thaa , *
Hisaar-e-maqtal-e-jaa.N me.n lahuu lahuu mai.n thaa ,
rasan rasan merii vahshat guluu guluu mai.n thaa,
[hisaar-e-maqtal-e-jaa.N=boundaries of the battleground of life] 
[rasan=rope; guluu guluu=neck]
jo rah gayaa nigah-e-sozan-e-mashiyat se ,
qabaa-e-ziist kaa vo chaak-e-berafuu mai.n thaa,
[nigah-e-sozan-e-mashiyat=flaming eyes of God’s will]
zamaanaa ha.Nsataa rahaa merii Khud-kalaamii par ,
tere Khayaal me.n masaruuf-e-guftaguu mai.n thaa,
tuu apnii zaat ke har pech-o-Kham se puuchh ke dekh ,
dar-ba-dar merii dastak thii kuu-ba-kuu mai.n thaa,
[pech-o-Kham=complexity]
mere raqiibo.n me.n kab thii ye hauslaama.ndii ,
navard-e-ishq me.n Khud apane ruu-ba-ruu mai.n thaa,
[navard-e-ishq=battle of love]
ma’aal-e-umr-e-muhabbat hai bas yahii "Tashna" ,
merii talaash thaa vo uskii justajuu mai.n thaa.
[ma’aal-e-umr-e-muhabbat=result of love]
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 405