|
* Jism-o-jaa'n ka safar azaabo'n tak *
Jism-o-jaa'n ka safar azaabo'n tak
Dar khudao'n ka bargaho'n tak
Jusjtajoo ki pahunch haqeeqat tak
Khawahisho'n ka guzar ujaalo'n tak
Dil hai sar basta raz se waqif
Aa'nkh ki aashnaaii chehro'n tak
Fikr ka dayera baseet najoom
Ilm ki daurh hai kitaabo'n tak
Waqt, ehsas ka fareb "Saba"
Roz-o- shab ka zahoor aa'nkho'n tak
26, Ameerunnissa Begum Street,
Mount Road, Chennai-600002
|
|