donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aleena
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kabhi pyaar rulaye, Kabhi yaad sataye, *
Kabhi pyaar rulaye, Kabhi yaad sataye, 
Tu gayi yon chord ke, mujhe har saans sataye, 

Main khwabon mein bhi khud ko tujhse juda na dekha, 
Tu gayi yon ho khafa, tune aik baar murh ke na dekha, 

Awaz teri aaj bhi mujhe har soo de sunayi, 
Meri har baat mein hai wo baat jo tune sikhayi, 

Dekho Main ashkon ko chupa chupa ke bahana jaan gayi, 
Faqt muskurahton ki hai duniya sathi, main raaz pehchan gayi, 

Tum to kehti thi kadam kadam mujhe jeena sikhlaogi 
Main bewaja bhi jo rooth gayi to hans ke manaogi, 

Bin tere, teri tarha koi mujhe ae janam meri, kuch samjhaye na 
Main rooth jaon jo bhoole se to koi bhoole se bhi mujhe manaye na, 

Wo baatein meri ulti seedhi, ek tera hi tha housla jo suna karti thi 
Pyar se lagati thi gale, kitni pagli ho keh kar tumhi hansa karti thi, 

Mere dil ki dil mein reh jaati hain ab to Shiza dekho to aa kar, 
Kabhi sochti hon cheen laon tujhe wapis, main paas Khuda ke jaa kar, 

Har dua mein meri tera naam ata hai hazaar baar ae meri behna, 
Tu jahan bhi hai tera khayl rakhe, Mujhe Allah se hai bas itna kehna! 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 456