donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aleena
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Meri jaanam meri behna tera pyar mujhse zara bhi bhulaya na jaye, *
Meri jaanam meri behna tera pyar mujhse zara bhi bhulaya na jaye, 
Lamha lamha jeeti hon marti hon,kisi tour bhi mujhse khud ko behlaya na jaye.. 

Haal kya hai mere dil ka mujhse chah kar bhi samjhaya na jaye, 
Lakh chahon chupana phir bhi palkon se anso'on ko chupaya na jaye... 

Duaon pe hai yaqeen mujhko, duaon se mgr tujhko wapis laya na jaye, 
Hai jab tak baki sanson ka silsila tere paas bhi mujhse aya na jaye.. 

Tere khuloos ka khyal jab jab aye barasti akhon ko tab tab sulaya na jaye.. 
Rog teri judayi ne jo lagaya hai kisiko bhi to ae meri jaan dikhaya na jaye.. 

Main ro parhti hon bachon ki tarha yon phoot phoot kar us bebas gharhi, 
Ke jab tera gale lagana aa jaye yaad our gale tujhko us pal lagaya na jaye.. 

Dabi hui siskiyan meri raat bhar phir mangti rehti hain tadap kar duayein, 
Kisiki yaad mein mere Rab kisi bhi masoom ko meri tarha yon tarsaya na jaye.. 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 349