donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aleena
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Yeh zindagi kya hai, *
Yeh zindagi kya hai, 
Kya iski haqeeqat hai, 
Kya yeh doulat hai, 
Doulat hai to kya iski keemat hai, 
Kya yeh Mohabbat hai, 
Mohabbat hai to kya iski izzat hai, 
Kya yeh baghawat hai, 
Baghawat hai to kya iski shohrat hai, 
Kya yeh Nafrat hai, 
Nafrat hai to kya iski zaroorat hai, 
Kya yeh soughaat hai, 
Soughaat hai to kya iski lizzat hai, 
Kya yeh sharafat hai, 
Sharafat hai to kya iski banawat hai, 
Kya yeh chahat hai, 
Chahat hai to kya iski Shiddat hai, 
Kya yeh mehnat hai, 
Mehnat hai to kya iski sahoolat hai, 
Kya yeh Dosti hai, 
Dosti hai to kya iski milawat hai, 
Kya yeh mehfil hai, 
Mehfil hai to kya iski barkat hai, 
Kya yeh rasta hai, 
Rasta hai to kya iski manzil hai, 
Kya zindagi dard hai, 
Dard hai to kya guzarna mushkil hai, 
Kya yeh khushi hai, 
Khushi hai to kyon palkon pe chilmil hai, 
Kya zindagi HUM hain, 
HUM hain to kya humari ibtida hai, 
Kya matti humari ibtida hai, 
Matti humari ibtida-o-inteha hai to.... 
to.... 
to... kya.... 
Kya humein yeh yaad hai.. 
Jo humein yeh yaad nahin, 
To kya hum abaad hoke bhi shaad hain.. 
Kya yeh ehsaas hai, 
Ehsaas hai to kya yeh khaas hai, 
Main bataon ZinDagi kya hai, 
Zindagi kuch nahin bas Ek sans hai.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 348