donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aleena
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kyon duniya chahne walon ke darmiya yaaro ana chahti hai *
Kyon duniya chahne walon ke darmiya yaaro ana chahti hai 
Phool ban nahin sakti na bane, kyon kanta khud ko banati hai, 

Kya kya chalein chale, kya kya baatein banaye touba touba 
Neeyat mein ho kuch our, zubaan pe alfaz koi our laati hain, 

Dil mein is nadan duniya ke koan bhala kabhi jhaank paya hai 
Humko to bas dikhta hai wohi amaal se jo yeh apne dikhaati hai, 

Isi jahan isi duniya ka aik hissa hain sab, magar alag alag hai soch 
Jannat ya jahanum banaye, khud hi yeh duniya apni hasti banati hai, 

Kya kehne iski adaon ke, kaise kaise yeh in se waar kare uff haye 
Koan ise ab kaise samjhaye, zahar mein dhoobi ada NahiN kisiko bhaati hai, 

Dekh kar sacchi Mohabbat to Khuda bhi arash se muskurata hoga 
Yeh duniya hi hai jo dekhe kisi ki ulfat to khoon ke ansoo bahaati hai, 

Apni khusiyon ka mehal banane ki tamanna mein kho jaye is kadar 
Cheeni hui khushiyon pe mehal nahin mizaar bante hain, bhool jaati hai, 

Hai taqt bouhat di Rab ne logon ko, Insan bana ke magar bebas bhi bana diya 
Samajh na paye jab duniya khud raaz-e-zindagi,Kudrat-e-Khuda phir ise samjhati hai!! 

Our Aisa Bhi Hota Hai..... 

Yehi wo duniya hai chahane walon ka jo sath yon nibhati hai 
Kadam kadam par himmat-o- housla premiyon ka barhati hai, 

Bhool jaye pal mein sabhi dard apne, apne ghum ko bhoola kar 
Yeh kisi ki khushiyon mein hokar khush dil o jaan se muskurati hai, 

Dil ki ghraiyon se de duayein, kitni pyari lagein iski adayein 
Meethe bol hi na bole, haseen amaal bhi karke dikhati hai, 

Buri nazar na dhale, yeh khud ko burayi se yon sambhale 
Haseen yeh ada duniya ki kitni phir khud duniya hi ko lubhaati hai, 

Neele saaf asmaan sa iska ho wujood, banawat se bouhat hi door 
Dil mein ho jo baat, zubaan pe apni aks usi ka phir yeh laati hai, 

An-ghinat roop hain is Rab ki rangbirangi duniya ke janta hai har koi 
Khubsurat apne kirdaar se yeh duniya, duniya ko thoda our banati hai, 

Apni zindagi karne ko abaad chahton se, yeh kaam kare anmol sa 
Ke khushiyan lootne ki jagah, dekho yeh khushiyan apni lootaati hai, 

Mohabbat se mohabbat walon ko deti hai jab sahara bin matlab ke 
Karishma phir uski zindagi mein Rab ki zaat khud le kar aati hai!
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 388