donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aleena
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Pareshaniyon se peecha chorhane ko aajkal, *
Pareshaniyon se peecha chorhane ko aajkal, 
Har banda kitna hi pareshan rehta hai, 

uljhi hui baaton mein kuch kuch uljha sa, 
jis tarf dekho aik na aik nadaan rehta hai, 

Hota hai bakhabr janta hai yeh sabkuch, 
jane kyon yeh zamana phir bhi anjan rehta hai, 

Kehne ko ho jis mukaam pe hon hazaron hi batein, 
Kabhi kabhi waha bhi khamosh reh jana asaan rehta hai, 

Bas zara si khushi ko paane ki tamanna mein, 
Jane kitne hi an-ginat ghum bebas insan sehta hai, 

Raiza raiza khwabon ko jo koi mehrubaan kar bhi jaye, 
Uske naam ka gila lab pe na ane paye,wafa ka maan kehta hai, 

Khuda jane kaise usiki jaan ko andheron mein chorh de, 
Wo berehm jo kal tak jiski jaan ko apni jaan kehta hai, 

Dafn ho jahan pe kuch suhane pal kuch haseen yadein 
Kuch log dil kehte hain, magr suno use jahan qabristan kehta hai, 

Ae dost, Faqt ek Hichki ka hai yeh sare ka sara khel 
Apne bare mein phir bhi Insan ko kitna gumaan rehta hai!!



 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 324