donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aleena
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Yeh Ansoo mere bereham hain kitne, ke kadam kadam de dhokha *
Yeh Ansoo mere bereham hain kitne, ke kadam kadam de dhokha 
Jo baat main rakhon raaz mein, yeh kaise asaani se bol dete hain, 

Mujhe hain yeh jaan se ziyada azeez, magar inhi se shikwe bhi hain hazaar 
Main bharm rakhon sabr ka apne, yeh beh kar meri bebasi kaise khol dete hain, 

Kitaab mere dil ki main kitni mushkilon se, karne ki band karon koshish 
Yeh harjayi aate hain chupke se, our har ek saffa bedardi se tatol dete hain, 

Jiggar zakhmi hai, ruh pe hain dard gehre, mujhe in baaton ki khabar hai sari 
Faqt duniya ke samne banate hain tamasha, yeh dushmani mujhse mol lete hain, 

Jaise panchi tinka tinka jorhe ghar keliye, main apni himmat jorha karti hon 
Zalim yeh ansoo aik hi baar barsaat sa baras kar, sara housla mera torh dete hain 

Bawjood tadapne ke, muskurahat sajaye labon par tum to ghooma karti ho magar 
Bewafa Yeh Ansoo aankh se jhalak kar, hansi ko teri Aleena paniyon mein ghol dete hain! 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 360