* Jab sukoo'n tha to kahaan harf e dua yaad aaya *
GHAZAL
Jab sukoo'n tha to kahaan harf e dua yaad aaya
Aaj hai waqte musibat to khuda yaad aya
Kis tarah humne hazaron pe jafaen ki hain
thookrien khaayin to andaz e jafa yaad aaya
Aaj jab chandini utri thi mere aangan mein
Chand kis lamha hua mujhse khafa yaad aaya
Teri mazboot panahon se judaai k baad
Raat kyun dene lagi mujhko saza yad aaya
jab bhi fursat mili hangama e duniya se mujhe
meri tanhai ko bas tera pata yaad aaya
Ye "Aleena" hai bahot door vatan se apne
Laut te dekhe parinde to sada yaad aaya...
.by aleena itrat rizvi |