donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aleena Itrat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aag hai pani hai mitti hai hawa hai mujh mein, *
Aag hai pani hai mitti hai hawa hai mujh mein,
qudrate haq ka har ik rang chhupa hai mujh mein

aik aurat hoon mohabbat hi hai paigaam mera
ik chaman phoolo'n ka khushboo ki fiza hai mujh mein

phool odhe hun magar kaanto'n ka bistar hai mera
aik jungal sa har ik simt uga hai mujh mein

jitne toofan uthaoge main seh sakti hun
tez aandhi mein lachakne ki ada hai mujh mein

wo to ek rishta e benaam hai kho jayega
kis liye saanson mein dhadkan mein basa hai mujh mein

jaate jate wo palat aaya hai jhonke ki tarah
aas ka deep bujhaane, jo jala hai mujh mein

aakhirash maut hi manzil hai 'aleena' phir kyu'n
zindagani ka taltum sa macha hai mujh mein
******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 523