* Dil to nada'n hai tere saaath ki zid karta hai *
GHAZAL
Dil to nada'n hai tere saaath ki zid karta hai
kitna paagal hai bina baat ki zid karta hai
chahta hai wo kisi aag mai jal kar dekhe
tapte sooraj se mulaqat ki zid karta hai
chaand ke des ki pariyo'n ki kahani sun kar
KISI jaadoo ki tilismaat ki zid karta hai
dekh kar phool se lipta hua khushboo ka badan
unki chaahat pe sawalaat ki zid karta hai
shehr e ulfat mein judai ka bhala kyu'n hai riwaj
tod doo'n aisi riwayat ki zid karta hai
kaise samjhaye aleena hain ajab ishq ke rang
jeetne wala yaha'n maat ki zid karta hai...
___________________________Aleena itrat .....
|