donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ali Sardar Jafri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* PHIR IK DIN AISAA AAYEGAA *
PHIR IK DIN AISAA AAYEGAA
AAnKHOn KE DIYE BUJH JAAYEInGEY
HAATHOn KE KAnWAL KUMHLAAYEInGEY
AUR BARG-E-ZABAAn SE
NUTQ-O-SADAA KI HAR TITLI UD JAAYEGI
IK KAALEY SAMAnDAR KI TAH MAIn
KALIYOn KI TARAH SE KHILTI HUEE
PHOOLOn KI TARAH SE HAnSTI HUEE
SAARI SHAKLEIn KHO JAAYEInGI
KHOOn KI GARDISH, DIL KI DHADKAN
SAB RAAGNIYAAn SO JAAYEInGI
AUR NEELI FAZAA KE MAKHMAL PAR
HAnSTI HUEE HEREY KI YE KANI
YE MERI JANNAT, MERI ZAMEEn
IS KI SUBHEIn, ISKI SHAAMEIn
BE-JAANEY HUYE BE-SAMJHEY HUYE
IK MUSHT-E-GHUBAAR-E-INSAAn PAR
SHABNAM KI TARAH RO JAAYEInGI
HAR CHEEZ BHULAA DI JAAYEGI
YAADOn KE HASEEn BUTKHAANEY SE
HAR CHEEZ UTHAA DI JAAYEGI
PHIR KOI NAHIEn YE POOCHHEYGAA
SARDAR KAHAAn HAI MAHFIL MEIn
LEKIN MAIn YAHAAn PHIR AAOnGAA
BACHOn KE DAHAN SE BOLOnGAA
CHIDYOn KI ZABAAn SE GAAOnGAA

JAB BEEJ HAnSEIEnGEY DHARTI MEIn
AUR KOnPAL APNI UNGLI SE
MITI KI TAHOn KO CHHEDEGI
MAIn PATTI PATTI, KALI KALI
APNI AAnKHEIn PHIR KHOLOnGAA
SAR-SABZ HATHELI PAR LEKAR
SHABNAM KE QATREY TOLOnGAA
MAIn RanG-E-HINAA, AAHnG-E-GHAZAL
ANDAAZ-E-SUKHAN BAN JAAOnGAA
RUKHSAAR-E-UROOS-E-NAU KI TARAH
HAR AAnCHAL SE CHHAN JAAOnGAA
JAADOn KI HAWAAEIn DAAMAN MEIn
JAB FASL-E-KHIZAAn KO LAAYEGI
RAHRO KE JAWAAn QADMOn KE TALEY
SOOKHEY HUYE PATTOn SE MEREY
HANSNEY KI SADAAEIn AAYEInGI
DHARTI KI SUNHERI SAB NADIYAAn
AAKAASH KI NEELI SAB JHEELEIn
HASTI SE MIRI BHAR JAAYEInGI
AUR SAARAA ZAMAANAA DEKHEYGAA
HAR QISSAA MIRAA AFSAANAA HAI
HAR AASHIQ HAI SARDAR YAHAAn
HAR MAASHOOQAA SULTAANAA HAI

MAIN EK GUREZAAn LAMHAA HOOn
AYYAAM KE AFSOOn KHAANEY MEIn
MAIn EK TADAPTAA QATRAA HOOn
MASROOF-E-SAFAR JO RAHTAA HAI
MAAZI KI SURAAHI KE DIL SE
MUSTAQBIL KE PAIMAANEY MEIn
MAIn SOTAA HOOn AUR JAAGTAA HOOn
AUR JAAG KE PHIR SO JAATAA HOOn
SADYOn KA PURAANAA KHEL HOOn MAIn
MAIn MAR KE AMAR HO JAATAA HOOn

PHIR IK DIN AISAA AAYEGAA
****
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 342