donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ali Sardar Jafri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* GEGUFTGOO BAnD NA HO *
GUFTGOO BAnD NA HO
BAAT SE BAAT CHALEY
SUBH TAK SHAAM-E-MULAAQAAT CHALEY
HUM PE HAnSTI HUEE
YE TAAROn BHARI RAAT CHALEY

WO JO ALFAAZ KE HAATOn MEIn HAI SAnG-E-DUSHNAAM
TanZ CHALKAAYE TO CHALKAAYAA KAREIn ZAHR KE JAAM
TEEKHI NAZREIn HOOn
TURSH ABROO-E-KHAMDAAR RAHEY
BAN PADEY JAISEY BHI DIL SEENOn MEIn BE-DAAR RAHEY
BE-BASI HARF KO ZANJEER BA-PAA KAR NA SAKEY
KOI QAATIL HO MAGAR QATL-E-NAWAA KAR NA SAKEY

SUBH TAK DHAL KE KOI HARF-E-WAFAA AAYEGAA
ISHQ AAYEGAA BA-SAD LAGHZISH-E-PAA AAYEGAA
NAZREIn JHUK JAAYEInGI
DIL DHADKEInGEY
LUB KAAnPEInGEY
KHAMUSHI BOSA-E-LUB BAN KE BAHAK JAAYEGI
SIRF GHUNCHOn KE CHATAKNEY KI SADAA AAYEGI
AUR PHIR HARF-O-NAWAA KI NA ZAROORAT HOOGI
CHASHM-O-ABROO KE ISHAAROn MEIn MOHABBAT HOGI
NAFRAT UTH JAAYEGI, MEHMAAN MURAWWAT HOGI

HAATH MEIn HAARH LIYE, SAARAA JAHAAn SAATH LIYE
TUM………………………………PYAAR KI SAUGHAAT LIYE
REGZAAROn SE ADAAWAT KE GUZAR JAAYEInGEY
KHOOn KE DARYAA SE HUM PAAR UTAR JAAYEIn

GEGUFTGOO BAnD NA HO
*****
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 325