donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ali Sardar Jafri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Shikast-e-shauq ko takmeel-e-aarzuu kahiye, *
Shikast-e-shauq ko takmeel-e-aarzuu kahiye,
ke tishnagii ko bhi paimaan-o-subuu kahiye,
khayaal-e-yaar ko deejiye wisaal-e-yaar ka naam,
shab-e-firaaq ko gesoo-e-mushk.buu kahiye,
charaaGh-e-anjuman hairat-o-nazaara hai’n,
laala.ruu jinhei’n ab baab-e-aarzuu kahiye,
shikaayatei’n bhi bahut hai’n hikaayatei’n bhi bahut,
mazaa tau jab hai ke yaaro’n ke ruu-ba-ruu kahiye,
mahak rahi hai Ghazal zikr-e-zulf-e-khuubaa’n se
naseem-e-sub’h kii maanind kuu-ba-kuu kahiye,
ai hukm keejiye phir Khanjaro’n ki dilzaarii,
jahaan-e-zakhm se afsaana-e-guluu kahiye,
zubaan-e-shoKh se karte hai’n pursish-e-ahvaal,
aur uske baad ye kahte hai’n aarzuu kahiye,
hai zakhm zakhm magar kyu’n na jaaniye use phuul,
lahuu lahuu hai magar kyu’n use lahuu kahiye,
samajhiye qaamat-e-yaaraan-e-kaj.adaa ki tarah,
jahaa’n jahaa’n bhi khizaa’n hai wahii’n wahii’n hai bahaar,
chaman chaman yahii afsaanaa-e-numuu kahiye,
zamii’n ko deejiye dil-e-mud’daa talab ka payaam,
khizaa’n ko wus’at-e-daamaan-e-aarzuu kahiye,
sa’nwaariye Ghazal apnii bayaan-e-Ghalib se,
zabaan-e-Meer mei’n bhi haa’n kabhuu kabhuu kahiye,
magar wo harf dhaRhakne lage jo dil ki tarah,
magar wo baat jise apnii guftaguu kahiye,
magar wo aa’nkh ke jismei’n nigaah apnii ho,
magar wo dil jise apnii justujuu kahiye,
kisi ke naam pe Sardar kho chuke hai’n jise,
usi ko ahl-e-tamanna kii aabruu kahiye
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 401