donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ali Sardar Jafri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Khwaab ab Husn-e-tasavvur ke ufaq se hai’n pare, *
Khwaab ab Husn-e-tasavvur ke ufaq se hai’n pare,
dil ke ek jazbaa-e-ma’suum ne dekhe the jo khawaab,
aur ta’beero’n ke tapte hue sehraao’n me’n,
tashnagii aabla-paa, sh’ola-bakaf mauj-e-saraab,
ye tau mumkin nahii’n bachpan ka ko’ii din mil jaaye,
yaa palat aaye ko’ii sa’aat-e-naayaab-e-shabaab,
phuuT nikle kisii afsurdah tabassum se kiran,
yaa damak uTThe kisii dast-e-buriidah me’n gulaab,
aah ! patthar kii lakiire’n hai’n ke yaado’n ke nuquush,
kaun likh saktaa hai phir umr-e-guzishtaa kii kitaab,
beete lamhaat ke soye hue tuufaano’n me’n,
tairte phirte hai’n phuuTii huii aankho’n ke Habaab,
taabish rang-e-shafaq, aatish ruu-e-Khurshiid,
mal ke chehre pe sahar aayii hai Khuu’n ahbaab,
jaane kis moRh pe, kis raah me’n kyaa beetii hai,
kis se mumkin hai tamannao’n ke zakhmo’n ka Hisaab,
aastiino’n ko pukaare’nge kahaa’n tak aa’nsuu’n,
ab tau daaman ko pakaRhte hai’n lahuu ke gardaab,
dekhtii phirtii hai ek ek ka munh khaamoshii,
jaane kyaa baat hai sharmindah hai andaaz-e-Khitaab,
dar-ba-dar thokare’n khaate huve phirte hai’n savaal,
aur mujrim ki tarah unse gurezaa’n hai’n javaab
sarkashii, phir mai’n tujhe aaj sadaa detaa hoo’n,
mai’n teraa shaa’iir-e-aawaaraa-o-be-baak-o-Kharaab,
phe’nk phir jazbaa-e-betaab ki aalam pe kamand,
ek khwaab aur ai himmat-e-dushwaar pasand.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 315