* Aankhon par darshan ki poori nemat karta hay.. *
Aankhon par darshan ki poori nemat karta hay..
Mera Saien hay jo har dam Rehmat karta hay..
Ishq mein apni raah banana khail nahi hay Dost..!!
Koi koi hay jo itni himmat karta hay..!!
Hijjr mein kon tawazan rakhay?vehshat chaht beech...
Aur jo rakhay,Dasht ussi ki Bay-at karta hay..!!
Seenay mein dill ho ya phir ho pinjray mein panchi..
Jazb mein jitna kam ho utni vehshat karta hay..!!
Be sudh bolna aiesa ,jese Andhi aankh ka khaab..
Baatan sudh mein ho to Laffz Karamat karta hay..!!
Dunya walay kuch b keh lay mujh ko kya parwaa..
Saien janta hay Zaryoun muhabat karta hay..
Ishq aabaad mein jaa aabaad hue sab apne Yaar...
Aik Ali Zaryoun tha,wo bhi hijrat karta hay...!!! |