* Sare jahan se achcha hindustaN hamara *
Sare jahan se achcha hindustaN hamara
Hum bulbul E hain is ki yeh gulsitaN hamara
Gurbat main hun ager hum rahta hai dil watan main
Samjho wahiN hameN bhi dil O jahan hamara
Perwat wo sab se ucha hum saya aasmaN ka
Wo santri hamara wo pasbaN hamara
Gudi mai khailti hain iski hazarooN nadiyaN
Gulshan hai jis k dam se rashk E jena hamara
Ai aab E rood E ganga wo din hai yad tujh ko
Utra tere kinare jab karwaN hamara
Mazhab nahi cikhata aapes main bair rakhna
Hindi haiN hum watan hain hindustaN hamara
Yunan O misr O rumaN sab mitt gyee jahan se
Ab tak mager hai baqui nam O nishaN hamara
Kuch bat hai k hasti mitti nahi N hamari
SadiyoN raha hai dushman doure zamaN hamara
Iqbal ; koyee mahrum apna nahi jahan mai
Maloom kya kisi ko dard E nehaN hamara
*** |