donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Allama Iqbal
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kia kahoo'n apney chaman se mai juda kiunker hua, *
Kia kahoo'n apney chaman se mai juda kiunker hua, 
Aur aseere halqa-a-daame hawa kiunker hua,

Jaye hairat hai bura sare zamane ka hoo'n mai, 
Mujh ko yeh khil’at sharafat ka ata kiunker hua,

Kuchh dikhane dekhne ka tha taqaza taur per, 
Kia khabar hai tujhko ai dil faisla kiunker hua,

Hai talab bemudda’a hone ki bhi aik mudda’a, 
Murghe dil daame tamanna se riha kiunker hua,

Dekhne wale yeha'n bhi dekh lete hai'n tujhe, 
Phir yeh wada hashr ka sabr aazma kiunker hua,

Husne kamil hi na ho is behijabi ka sabab, 
Wo jo tha pardo'n mai pinha'n khudnuma kiunker hua,

Maut ka nuskha abhi baqi hai ai wirde firaq, 
Charagar deeewana hai mai ladawa kiunker hua.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 363