donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Allama Iqbal
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Shamm-e-mehfil ho ke tu jab soz se khaali raha, *
Shamm-e-mehfil ho ke tu jab soz se khaali raha, 
Tere parwaane bhi is lazzat se be-gaane rahe, 


Rishta-e-ulfat mei'n jab in ko piro sakta tha tu, 
Phir pareshaaN kiyuN teri tasbeeh k daane rahe,

Shauq-e-be-parvaa gaya, fikr-e-falak-paimaa gaya, 
Teri mehfil mei'n na diwaane na farzaane rahe,

Wo jigar-sozi nahi, wo sho’la-aashaami nahi, 
Faaida phir kya jo gird-e-shamma parwaane rahe,

Khair, tu saaqi sahi lekin pilaaye ga kise, 
Ab na wo mai-kash rahe baaqi, na mai-khaane rahe,

Ro rahi hai aaj ik TooTi hui meena usey, 
Kal talak gardish mein jis saaqi k paimaane rahe,

Aaj hain khaamosh wo dasht-e-junooN-parvar, jahaaN, 
Raqs mein laila rahi, laila k diwaane rahe,

Waaye na-kaami, mataa-e-kaarvaaN jaata raha, 
KaarvaaN k dil se ehsaas-e-zyaaN jaata raha.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 538