donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Allama Iqbal
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Khird ke paas khabar ke siwa kuch aur nahi'n, *
Khird ke paas khabar ke siwa kuch aur nahi'n,
tera ilaj nazar ke siwa kuchh aur nahi'n,

har muqam se aage muqam hai tera,
hayat zauq-e-safar ke siwa kuchh aur nahi'n,

rango'n mei'n gardish-e-khu'n hai agar to kya hasil,
hayat soz-e-jigar ke siwa kuchh aur nahi'n,

urus-e-lala munasib nahi'n hai mujhse hijab,
ke mai'n nasim-e-sahar ke siwa kuchh aur nahi'n,

jise qasad samajhte hai'n tajran-e-firang,
wo shay mata-e-hunar ke siwa kcuhh aur nahi'n,

giranbaha hai to hifz-e-khudi se hai warna,
gauhar mei'n ab-e-gauhar ke siwa kuch aur nahi'n.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 339