* Aataa hai yaad mujhko guzraa huaa zamaanaa *
Aataa hai yaad mujhko guzraa huaa zamaanaa
vo baaggh kii bahaare’n vo sab ka chah-chahanaa
aazadiyaa’n kahaa’n vo ab apane ghonsale kii
apnii Khushii se aanaa apnii Khushii se jaanaa
lagatii ho chot dil par, aataa hai yaad jis dam
shabanam ke aansuuo’n par kaliyo’n kaa muskuraanaa
vo pyaarii pyaarii surat, vo kaamiinii sii muurat
aabaad jis ke dam se thaa meraa aashiyaanaa
|