donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Allama Iqbal
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Uttho meree duniyaa ke ghariibo’n ko jagaa do *
Uttho meree duniyaa ke ghariibo’n ko jagaa do
Khaak-e-umaraa ke dar-o-deevaar hilaa do

garmaao ghulaamo’n kaa lahuu soz-e-yaqii’n se
kunjishk-e-phiromaayaa ko shaaheen se ladaa do

sultaanee-e-jamahuur kaa aataa hai zamaanaa
jo naqsh-e-kuha’n tum ko nazar aaye mitaa do

jis khet se dahaqaan ko mayassar nahii’n rozee
us Khet ke har Khoshaa-e-gundam ko jalaa do

kyo’n Khaaliq-o-makhalooq me haayal rahe parde
peeraan-e-kaleesaa ko kaleesaa se hataa do

mai naaKhush-o-bezaar hoo’n marmar ke silo’n se
mere liye mittii kaa haram aur banaa do

tahaziib-e-naveen kaargah-e-shiishaa garaa’n hai 
aadaab-e-junoo’n shaayar-e-mashriq ko sikhaa do
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 357