|
* Firqa bandi hai kahin, aur kahin zaaten hain *
Firqa bandi hai kahin, aur kahin zaaten hain.
Kya zamane mein panpaneki yehi baaten hain?
Jaa ke hote hain masaajid mein saf-aara tau gharib,
Zahmat-e-roza jo karte hain gawara tau gharib.
Naam leta hai agar koi hamara, tau gharib,
Pardah rakhta hao agar koi tumhara, tau gharib. |
|