* Kaam mein hazrate insan ke lage rahte hain *
Kaam mein hazrate insan ke lage rahte hain
dono taqat ke dhani aur vafadar bhi hain
malikon ko hai sada paas vafadari ka
baat insaf ki hai dono tarhadar bhi hain
jin mein neki ho sadaqat ho vafa kashi ho
zindagi meni voh mohabbat ke sazavar bhi hain
eik nukta hai samajhne ka yeh samjha jaye
khaslaten achhi ho to phool se tola jaye
|