donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Altaf Hussain Hali
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kahne kii baat ho to use kah sunaayiye , *
Kahne kii baat ho to use kah sunaayiye ,
jo dil pe ban rahii ho, kyo’n kar dikhaayiye,
duniyaa kii ho havas to dil-o-dii’n ga’nvaayiye ,
yaa’n khoyiye bahut-saa to kuchh jaa ke paayiye,
ye kyaa ki dil hai dair me’n aur ka’abe me’n maqaam, 
ho rahiye bas vahii’n ke, jahaa’n dil lagaayiye,
gar jaan kaa zarar hai mohabbat me’n naaseho, 
ham jaan hii se baiThe hai’n bezaar jaayiye,
aur aitabaar khote hii apanaa rahaa-sahaa ,
bas aa gayaa yaqii’n hame’n, qasame’n na khaayiye,
hotii hujuum-e-Gham me’n hai, kyo’n zahar kii talaash, 
’Hali’ bataaye’n aap ko, gar kuchh khilaayiye.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 396