donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Altaf Hussain Hali
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Hai justajuu ke Khuub se hai Khuubtar kahaa.N *
Hai justajuu ke Khuub se hai Khuubtar kahaa.N 
ab dekhiye Thaharatii hai jaa kar nazar kahaa.N
yaarab is iKhtilaat ka anjaam ho baaKhair 
tha us ko ham se rabt, magar is qadar kahaa.N
ik umr chaahiiye ke gavaaraa ho naish-e-ishq 
rakkhii hai aaj lazzat-e-zakhm-e-jigar kahaa’n,
ham jis pe mar rahe hai’n vo hai baat hii kuchh aur ,
aalam me’n tujhse laakh sahii tuu magar kahaa’n,
hotii nahii’n qubuul duaa tark-e-ishq kii, 
dil chaahataa na ho to zubaa’n me’n asar kahaa’n,
’Hali’ nishaat naghmaa-o-mai Dhuu’nDhate ho ab ,
aaye ho waqt-e-subah, rahe raat bhar kahaa’n.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 407