donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ameer Kazalbash
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jab se bul-bul tuu ne do tinke liye, *
Jab se bul-bul tuu ne do tinke liye,
TuuT tii hai bijaliyaa.N in ke liye,

hai javaanii Khud javaanii kaa sinGaar,
saadagii gahnaa hai us sinn ke liye,

[sinGaar = adornment]
[ sinn =period of life]

kaun viiraane me.n dekhegaa bahaar,
phuul jangal me.n khile kin ke liye,

saarii duniya ke hai.n vo mere sivaa,
mai.n ne duniyaa chho.D dii jin ke liye,

baaGhbaa.N kaliyaa.N ho.n halke rang kii,
bhejnii hai.n ek kamasin ke liye,

 

sab hasii.n hai.n zaahido.n ko naa pasand,
ab ko_ii huur aayegii in ke liye.


 
Comments


Login

You are Visitor Number : 279