donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Amjad Islam Amjad
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Zindagii ke mele me.n, *
Zindagii ke mele me.n,
Khvaahisho.n ke rele me.n,
tum se kyaa kahe.n jaanaa,
is qadar jhamele me.n,
vaqt kii ravaanii hai,
baKht kii giraanii hai,
saKht bezamiinii hai,
saKht laamakaanii hai,
hijr ke samandar me.n,
taKht aur taKhte kii,
ek hii kahaanii hai,
tum ko jo sunaanii hai,

baat go zaraa sii hai,
baat umr bhar kii hai,
umr bhar kii baate.n kab,
do gha.Dii me.n hotii hai.n,
dard ke samandar me.n,
anginat jaziire.n hai.n,
beshumaar motii hai.n,
aa.Nkh ke dariiche me.n,
tum ne jo sajaayaa thaa,
baat us diye kii hai,
baat us gile kii hai,
jo lahuu kii Khilvat me.n,
chor ban ke aataa hai,
lafz ke fasiilo.n par
TuuT TuuT jaataa hai,

zindagii se lambii hai,
baat rat_jage kii hai,
raaste me.n kaise ho,
baat taKhaliye kii hai,
taKhaliye kii baato.n me.n,
guftaguu izaafii hai,
pyaar karane vaalo.n ko,
ik nigaah kaafii hai,
ho sake to sun jaao
ek din akele me.n,
tum se kyaa kahe.n jaanaa.N,
is qadar jhamele me.n.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 342