* Jaan-e-afasaanaa yahii kuchh bhii ho afasaane kaa naam *
Jaan-e-afasaanaa yahii kuchh bhii ho afasaane kaa naam
zindagii hai dil kii dhadakan tez ho jaane kaa naam
qataraa qataraa zindagii ke zahar kaa piinaa hai Gham
aur Khushii hai do ghadii pii kar bahak jaane kaa naam
intazaar-e-fasl-e-gul mei’n kho chuke aankho’n kaa noor
aur bahaar-e-baagh letii hii nahii aane kaa naam
taab-e-naakaamii nahii to aarazuu kartaa hai kyaa
aarzuu hai mauj ke saahil se Takraane kaa naam
aaj tuu kal koii aur hogaa sadar-e-bazm-e-may
saaqiyaa tujh se nahii ham se hai maikhaane kaa naam
vaaqif-e-"Mullah" na thii bazm-e-Khirad, ye tay huaa
ho na ho, ye hai kisii mashahuur diivaane kaa naam
|