donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Andleeb Shadani
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Koi ada_shanas-e-mohabbat humai'n bataye *
Koi ada_shanas-e-mohabbat humai'n bataye,
jo hum ko bhool jaye woh kyu'n hum ko yaad aaye,
kis ki majal thi ki hijab-e-nazar uThaye,
woh muskura ke aap hi dil ke qarib aaye,
ik dil_nashi nigah mei'n Allah yeh Khalish,
nashtar ki nok jaise kaleje mei'n TooT jaye,
kuch hum se beKhudi mai'n hui behijabiya'n,
chashm_kazni sitaro'n ne ki phool muskuraye,
wo jan-e-arzoo ke hai sarmaya-e-nishat,
kyu'n us ki yad Ghum ki ghata ban ke dil pe chaye,
tum to humai ko kahte the ye tum ko kya huwa,
dekho kanwal ke phool se shabnam chhalak na jaye.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 679