donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Anwar Sadeed
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Qalam hai mai'n ne uthaya naye tariqe se *
Qalam hai mai'n ne uthaya naye tariqe se
Ke likh saku'n use khat doosre tariqe se
Woh khoob urhta hai pahle kheyal ki chirhya'n
Pakarh ke lata hai phir qafiye tariqe se

Hai us ki shorat-o- maqbooliyat ka hasil yeh
Woh daad leta hai har aik "be tariqe" se

Ghareeb-e shahar ka us waqt dam ghuta tha jab
Ameer-e-shahar na bola khule tariqe se

Oboor kaise unhe'n be tariqagi se karoo'n
Jo taye huye hi nahi'n fasle tariqe se

Sabab yeh tha meri nakamranio'n ka "Sadeed"
Mai'n baat kar na saka aap ke tariqe se

			172, Sutlaj Block, Iqbal Town 
			Lahore-18, (Pakistan)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 404