|
* Kaii marhale aur sar karne hai.n, *
Kaii marhale aur sar karne hai.n,
abhii to bahut se safar karne hai.n,
[marhale = obstacles; sar karnaa = overcome]
badii aur nekii yaqii.n aur shak,
hai.n jitne bhii aib-o-hunar karne hai.n,
[badii = sin; nekii = good; aib = fault; hunar = skill]
hathelii pe rakhte hai.n apnaa kafan,
jinhe.n apnaa jiivan amar karne hai.n,
sitam hai ki duniyaa ke kitne hii kaam,
zaruurii nahii.n hai.n magar karne hai.n,
karoge kabhii tark bhii taak-jhaa.Nk,
ki ye sil_sile umr bhar karne hai.n,
bahut saKht mausam hai lekin ’Shaoor’,
kisii taur ye din basar karne hai.n.
|
|