donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Archana Sinha
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Main marta nahin *
Main marta nahin
mar sakta bhi nahin.....
Ek diya hi to hoon main
chhota sa kachchi mitti ka
jiski lau laplapaati rehti hai
us jang me bhi jo hai
andheron ki ujaalon se
magar dekh lo phir bhi
main bujhta nahin
bujh sakta bhi nahin.....
Ek daali hi to hoon main
kisi ped ki naazuk si
jo jhoomti rehti hai
sukh dukh ke thapedon me
lagta hai ki ab tooti
par lachak ke reh jaati hai
sach hai main toot ta nahin
toot sakta bhi nahin.....
Chaahe diye ki lau kaho
chaahe daali ki lachak
wo haar nahin maanti
apni aakhiri saans tak
jo chhoot jaayegi ek din
par maregi nahin phir bhi
kyunki wo marti nahin
mar sakti bhi nahin.....
**********************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 411