donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Archana Sinha
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Mujhko maaloom tha aisa hi zamaana hoga *
Mujhko maaloom tha aisa hi zamaana hoga
sach kahega jo use bazm se jaana hoga...
 
Aasmaa.n ko to parinda ye banaata manzil
par kaha sabne use par ko kataana hoga...
 
Muntazir log yahan le ke namak haathon me
phir bhala kaise koi zakhm puraana hoga...
 
Aaj jaana hai tujhe jaa ye samajh kar jaana
dosti, ab na tera dil ye thikaana hoga...
 
Kya samajhte ho ki har baar bulaa yun loge
phir na kehna ye, mujhe laut ke aana hoga...
 
Maut chehre me tere kyun ye nazar hai aati
zindagi aaj tujhe raaz bataana hoga...
 
Ajnabi dost hue, dil me kasak si, phir bhi
sher har baat pe kya mujhko sunaana hoga ??........Archana. 
*******************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 330