* Jab koi silsilaa nahiN baaqi.... *
Jab koi silsilaa nahiN baaqi....
Kya kahein, kuchh gilaa nahiN baaqi....
Wo yun bole 'wafa nahiN tum me ??'
hum ne hans kar kahaa 'nahiN baaqi'....
Tun samajh kar bhi bante ho naadaaN
ab to kuchh ankahaa nahiN baaqi....
Khair, hum to badal gaye hi hain
tum me bhi wo adaa nahiN baaqi....
Theek hai tum bhula do humko, par
kya koi raasta nahiN baaqi ??....
Ab muhabbat bhala karein kaise
jab wo jazba raha nahiN baaqi....
Roshni kaise faile basti me
khud jale wo diyaa nahiN baaqi....
Maut se khelne lage jab se
"zindagi me mazaa nahiN baaqi"....
****************** |